Saturday, May 4, 2013

"Dard"-Poem by Avan Singh

 Itna dard humein na dijiyega
Aashiq ki jagah shayar na bana dijiyega,

Tere diye dard ki kahaniya ho na jayein mashhoor,

Dil ko ye ikhtiyaar likhne pe na karo majboor,

Ki jab sunau main ye aalam hamara,
Logon ki wah wah mein gum ho jayega dard sara,

Ho na jaye deewana har koi iss dard ke alfajo ka,

Chahe khuda se dard isi aalam ka...........

No comments:

Post a Comment